Followers

search here

Custom Search

SAD SHAYARI SMS 2


Kafi hai sapne dil ko behlaane ke liye,
Mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
Chahe bhale rakhna pade gam se vaasta
Ek dost rakhna sab gam bhulaane ke liye



Suraj ki har kiran roshni de aapko,
Phoolon ki har kali khushboo de aapko,
Hum toh kuch dene ke kaabil nahi
Dene wala har khushi de aapko



Ho sakta hai ki baarish ke baad aasmaan neeli na ho,
Ho sakta hai ki dhoop ke baad sarson peeli na ho,
Magar ye kaise ho sakta hai ki,
Aapki yaad aaye aur aankhen geeli na ho....!"



"Har karz dosti ka adaa kaun karega,
Hum hi nahi honge to dosti kaun karega,
Aey Khuda mere doston ko salaamat rakhna,
Warna mere jeene ki dua kaun karega..."



Koi ankhon ankhon mein baat kar leta hai
Koi ankhon ankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada mushkil hota hai jawaab dena jab koi
Khamosh reh kar sawaal kar leta hai!



Paani mein patthar na maaro,
Koi aur bhi peeta hai,
Jindgi jeena hai to muskura ke jiyo,
Tumhe dekhkar koi aur bhi jeeta hai......!"



Suna hai nazar milaane se badi takleef hoti hai,
Suna hai dil lagane se badi takleef hoti hai,
Yoon to haal pe mere muskurate hai sabhi,
Par tere muskarane se badi takleef hoti hai.



Mein tumhare liye sab kuch karta..
Magar mujhe kaam tha......
Mein tumhare liye doob ke marta...
Magar mujhe zukham tha



Nigaahein aapki pehchaan hain humari,
Muskurahat aapki shaan hai humari,
Rakhna hifajat tum apni,
Kyonki saanse aapki jaan hai humari



Chand lamhe saath tere guzarna chahta tha
Taqdeer ke lakiro ko yun badalna chahata tha
Zamane ki gardish mein simat gayi zindagi meri
Warna main to tumhe apna banana chahata tha



Tumhe apne dil mein basaye rakhta hoon ,
Aur duniya ko bhulaye rakhta hoon .
Tumhe meri nazar na lag jaye,
Isliye apni nazrein jhukaye rakhta hoon .



Zindagi ek chahat ka silsila hai,
Koi mil gaya to koi bichad gaya,
Jinhe manga ta duwao main,
Vo kisi aur ko bin mange hi mil gaya.



Badi aasani se dil lagaye jaate hai,
Par badi mushkil se vaade nibhaye jaate hai.
Le jaati hai mohabbat un rahon pe
Jahan diye nahi dil jalaye jaate hai

No comments:

Post a Comment